Mustafa Jaan E Rehmat Pe Laakho(n) Salaam (COMPLETE)

Mustafa Jaan E Rehmat Pe Laakho(n) Salaam
Shamme Bazme Hidayat Pe Laakho(n) Salaam
Mehre Charkhe Nubuvvat Pe Roushan Durood
Ghul E Baagh E Risaalat Pe Laakho(n) Salaam
Shehre Yaare Iram Tajdaare Haram
Nau Bahaar E Shafa’at Pe Laakho(n) Salaam
Shab E Asra Ke Dulha Pe Da-im Durood
Nausha E Bazme Jannat Pe laakho(n) Salaam
Arsh Ki Zebo Zeenat Pe Arshi Durood
Farsh Ki Teebo Nuzhat Pe laakho(n) Salaam
Noor E Ain E Latafat Pe Alt(a)f Durood
Jaibo Jaine Najafat Pe Laakho(n) Salaam
Sarve Naaz E Kidam Maghze Raaze Hikam
Yakka Taaze Fazilat Pe Laakho(n) Salaam
Nukta E Sirre Wahdat Pe Yakta Durood
Markaze Daure Kasrat Pe Laakho(n) Salaam
Sahibe Raj’ate Shamso Saqqul Qamar
Naib E Daste Qudrat Pe Laakho(n) Salaam
Jiske Zere Liwa Adamo Man Siva
Uss Sada E Siyadat Pe Laakho(n) Salaam
Arsh Ya Farsh Hai Jiske Zere Nagee(n)
Uski Qaahir Riyasat Pe Laakho(n) Salaam
Asle Har Buudo Bahbood Takhme Wajood
Qasim E Kanze Ne’amat Pe Laakho(n) Salaam
Fathe Baab E Nubuvvat Pe Behad Durood
Khatme Daur E Risalat Pe Laakho(n) Salaam
Sharke Anwaare Qudrat Pe Noori Durood
Fat-he Az Haare Qurbat Pe Laakho(n) Salaam
Be-Saheemo Q(a)simo Adeelo Maseel
Jouhar E Farde Izzat Pe Laakho(n) Salaam
Sirre Ghaib E Hidayat Pe Ghaibi Durood
Itre Jaibe Nihayat Pe Laakho(n) Salaam
Maahe Lahoote Khilwat Pe Laakho(n) Durood
Shahe Naasoot E Jalwat Pe Laakho(n) Salaam
Kanze Har Bekaso Benawa Par Durood
Harze Har Rafta Taaqat Pe Laakho(n) Salaam
Partave Isme Zaate Ahad Par Durood
Nuskha E Jaameiyyat Pe Laakho(n) Salaam
Mat-La’e Har Sa’adat Pe As’ad Durood
Maqtae Har Siyadat Pe Laakho(n) Salaam
Khalq Ke Dadras Sabke Fariyad Ras
Kahfe Roze Musibat Pe Laakho(n) Salaam
Mujhse Bekas Ki Daulat Pe Laakho(n) Durood
Mujhse Bebas Ki Quvvat Pe Laakho(n) Salaam
Shamme Bazme D(a)na Hu Mai Gum Kun Ana
Shar-He Matne Huviyyat Pe Laakho(n) Salaam
Intiha E Daayi Ibtida E Yakee
Jam’a Tafreeqo Kasrat Pe Laakho(n) Salaam
Kasrat E Baad E Qillat Pe Aksar Durood
Izzate Bood Zillat Pe Laakho(n) Salaam
Rabb E Aala Ki Ne’amat Pe Aala Durood
Haq Ta’ala Ki Minnat Pe Laakho(n) Salaam
Hum Ghareebo Ke Aaqa Pe Behad Durood
Hum Faqeeri Ki Sarwat Pe Laakho(n) Salaam
Farhate Jaane Mo’min Pe Behad Durood
Ghaize Qalbe Jalalat Pe Laakho(n) Salaam
Sab-Be Har Sabb Muntaha E Talab
Illate Julmo Illat Pe Laakho(n) Salaam
Masdar E Mujhariyyat Pe Azhar Durood
Mazhar E Masdariyyat Pe Laakho(n) Salaam
Jiske Jalwe Se Murjhayi Kaliya(n) Khili
Uss Ghul E Paak Mimbat Pe Laakho(n) Salaam
Qadde Be-Saaya Ke Saya E Marhamat
Jille Mamdud E Raafat Pe Laakho(n) Salaam
Tairan E Quds Jiski Hai Kumriya(n)
Us Sahi Sarve Kaamat Pe Laakho(n) Salaam
Wasf Jiska Hai Aayina E Haqnuma
Us Khuda Saaz Tal’at Pe Laakho(n) Salaam
Jiske Aage Sare Sarwara Kham Rahe
Uss Sare Taaje Rif’at Pe Laakho(n) Salaam
Wo Karam Ki Ghata Ghesu E Mushk Sa
Lakka E Abre Raafat Pe Laakho(n) Salaam
Lailatul Qadr Me Matlail Fajre Haq
Maang Ki Istiqamat Pe Laakho(n) Salaam
Lakht Lakhte Dile Har Jigar Chaak Se
Shaana Karne Ki Haalat Pe Laakho(n) Salaam
Duur O Nazdeek Ke Sunne Waale Wo Kaan
Kaan E La’le Karamat Pe Laakho(n) Salaam
Chashma E Mehr Me Mouje Noor E Jalaal
Us Raghe Hashemiyyat Pe Laakho(n) Salaam
Jiske Mathe Shafa’at Ka Sehra Raha
Us Jabeen E Sa’adat Pe Laakho(n) Salaam
Jinke Sajde Ko Mehraab E Kaaba Jhuki
Unn Bhavo(n) Ki Latafat Pe Laakho(n) Salaam
Unki Aankho(n) Pe Wo Saaya Afghan Miza
Zilla E Qasr E Rahmat Pe Laakho(n) Salaam
Ashq Baari E Mizga(n) Pe Barse Durood
Silke Durre Shafa’at Pe Laakho(n) Salaam
Ma’ana E Qad Ra-aa Maqsad E Maa Tagaa
Nargis E Baaghe Qudrat Pe Laakho(n) Salaam
Jiss Taraf Uth Gayi Dam Me Dam Aa Gaya
Us Nigah E Inayat Pe Laakho(n) Salaam
Nichee Aankho(n) Ki Sharmo Haya Par Durood
Unchi Beene Ki Rifa’at Pe Laakho(n) Salaam
Jinke Aage Charage Qamar Jhilmilay
Un Azaaro Ki Tal’at Pe Laakho(n) Salaam
Unke Khad Ki Suhulat Pe Behad Durood
Unke Qad Ki Rishaqat Pe Laakho(n) Salaam
Jis Se Tareek Dil Jagmagane Lage
Us Chamak Waali Rangat Pe Laakho(n) Salaam
Chaand Se Muh Pe Taaba Darkhsha Durood
Namak Aagi Sabahat Pe Laakho(n) Salaam
Shabnam E Baagh E Haq Yani Rukh Ka Araq
Uski Sachhi Baraakat Pe Laakho(n) Salaam
Khat Ki Girde Dahan Wo Dilara Faban
Sabz E Nahre Rehmat Pe Laakho(n) Salaam
Rishe Khus Mu’atadil Marham E Reshe Dil
Hala E Mah E Nudrat Pe Laakho(n) Salaam
Patli Patli Ghul E Quds Ki Pattiya
Un Labo(n) Ki Nazakat Pe Laakho(n) Salaam
Wo Dahan Jiski Har Baat Wahee E Khuda
Chashma E Ilmo Hiqmat Pe Laakho(n) Salaam
Jiske Paani Se Shadaab Jaan O Jinaa
Uss Dahan Ki Taravat Pe Laakho(n) Salaam
Jis Se Khari Kuve Shira E Jaa(n) Bane
Us Julale Halavat Pe Laakho(n) Salaam
Wo Jabaa(n) Jisko Sab Kun Ki Kunji Kahe
Uski Naafiz Huqumat Pe Laakho(n) Salaam
Uski Pyari Fasahat Pe Behad Durood
Sakee Dilkash Balaghat Pe Laakho(n) Salaam
Uski Baato(n) Ki Lazzat Pe Laakho(n) Durood
Uske Khutbe Ki Haibat Pe Laakho(n) Salaam
Woh Dua Jiska Joban Bahaar E Qubool
Us Naseem E Ijabat Pe Laakho(n) Salaam
Jinke Guchche Se Lachche Jhade Noor Ke
Un Sitaro Ki Nuzhat Pe Laakho(n) Salaam
Jiski Taskee(n) Se Rote Hue Has Pade
Us Tabassum Ki A’adat Pe Laakho(n) Salaam
Jis Me Nahre Hai Shiro Shakar Ki Rawa(n)
Us Gale Ki Nazarat Pe Laakho(n) Salaam
Dosh Bar Dosh Hai Jin Ke Shaane Sharaf
Aise Shaano Ki Shauqat Pe Laakho(n) Salaam
Hajre Aswad Ka’aba E Jaan O Dil
Yaani Mehre Nubuvvat Pe Laakho(n) Salaam
Ru-e Aaina E Ilme Pushte Huzoor
Pushti E Qasr E Millat Pe Laakho(n) Salaam
Haath Jis Samt Utha Ghanee Kar Diya
Mouje Behre Sama’at Pe Laakho(n) Salaam
Jisko Baare Do Aalam Ki Parwah Nahi
Aise Bazoo Ki Quvvat Pe Laakho(n) Salaam
Ka’aba E Deen O Imaa(n) Ke Dono Sutoo(n)
Sayyedaine Risalat Pe Laakho(n) Salaam
Jiske Har Khat Main Hai Mouje Noor E Karam
Us Kafe Bahre Himmat Pe Laakho(n) Salaam
Noor Ke Chashme Lehraye Dariya Bahee
Ungliyo(n) Ki Karamat Pe Laakho(n) Salaam
Eid E Mushkil Kusha E Ke Chamke Hilaal
Nakhoono Ki Basharat Pe Laakho(n) Salaam
Raf’a E Zikre Jalalat Pe Arfa’a Durood
Sharhe Sadre Sadarat Pe Laakho(n) Salaam
Dil Samajh Se Waraa Hai Magar Yu Kahu
Guncha E Raaze Wahdat Pe Laakho(n) Salaam
Kul Jahaa(n) Milk Aur Jou Ki Roti Ghiza
Uss Shikam Ki Kana’at Pe Laakho(n) Salaam
Jo Ki Azme Shafa’at Pe Khinch Kar Bandhi
Us Qamar Ki Himayat Pe Laakho(n) Salaam
Ambiya Tah Kare Jaanu Unke Huzoor
Jaanuo Ki Wajahat Pe Laakho(n) Salaam
Saake Asl E Qidam ShaakhE Nakhle Karam
Sham’e Raah E Isabat Pe Laakho(n) Salaam
Khayi Quraa(n) Ne Khaaqe Guzar Ki Qasam
Us Kafe Paa Ki Hur mat Pe Laakho(n) Salaam
Jis Suhani Ghadi Chamka Taibah Ka Chaand
Us Dil Afroz Sa’at Pe Laakho(n) Salaam
Pehle Sajde Pe Rouze Ajal Se Durood
Yaadgari E Ummat Pe Laakho(n) Salaam
Zar’e Shadab E Har Zar’e Pur Sheer Se
Barkaate Reja’at Pe Laakho(n) Salaam
Bhaiyo Ke Liye Tark Pista(n) Kare
Doodh Peeto Ki Nisfat Pe Laakho(n) Salaam
Mahde Waala Ki Qismat Pe Behad Durood
Burje Maah E Risalat Pe Laakho(n) Salaam
ALLAH ALLAH Wo Bachpane Ki Phaban
Us Khuda Bhaati Surat Pe Laakho(n) Salaam
Uth-Te BuTo Ki Nashwo Numa Par Durood
Khilte Guncho Ki Nikhat Pe Laakho(n) Salaam
Fazl E Paidaishi Par Hamesha Durood
Khelne Se Karahat Pe Laakho(n) Salaam
A’etela E Jabillat Pe Aala Durood
A’etedal E Tivayat Pe Laakho(n) Salaam
Be Banavat Adaa Par Hazaro Durood
Be Takalluf Malahat Pe Laakho(n) Salaam
Bhini Bhini Mahak Par Mahakti Durood
Pyari Pyari Nafasat Pe Laakho(n) Salaam
Meethi Meethi Ibarat Pe Shiree(n) Durood
Achhi Achhi Isharat Pe Laakho(n) Salaam
Seedhi Seedhi Ravish Par Karoro(n) Durood
Saadi Saadi Tabi’at Pe Laakho(n) Salaam
Roze Garmo Shabe Teera Wo Taar Me
Koho Sahra Ki Khalvat Pe Laakho(n) Salaam
Jiske Ghere Me Hai Ambiya O Malak
Us Jahangeer E Ba’sat Pe Laakho(n) Salaam
Andhe Sheeshe Jhalajhal Damakne Lage
Jalwa Rezi E Daawat Pe Laakho(n) Salaam
Lutf E Bedari E Shab Pe Behad Durood
Aalam E Khwab E Rahat Pe Laakho(n) Salaam
Kh(a)nda-e Subho Ishrat Pe Noori Durood
Giry(a) E Abre Rehmat Pe Laakho(n) Salaam
Nirmi E Khu E Leenat Pe Daim Durood
Garmi E Shaane Satavat Pe Laakho(n) Salaam
Jiske Aage Khinchi Gardane Jhuk Gayi
Us Khuda Dad Shoukat Pe Laakho(n) Salaam
Kisko Dekha Ye Moosa Se Pooche Koyi
Aankh Waalo Ki Himmat Pe Laakho(n) Salaam
Girde Mah Daste Anjum Me Rakhsha(n) Hilaal
Badr Ki Daf’e Zulmat Pe Laakho(n) Salaam
Shore Takbeer Se Thar-Tharati Zamee(n)
Zumbishe Joushe Nusrat Pe Laakho(n) Salaam
Na’araha E Dilera(n) Se Ban Gunjte
Gurrashe Kose Jur-at Pe Laakho(n) Salaam
Woh Chaka Chaak Khanjar Se Aati Sadaa
Mustafa Teri Soulat Pe Laakho(n) Salaam
Unke Aage Wo Hamza Ki Jaa(n)-Baaziya(n)
Shere Gurrane Satvat Pe Laakho(n) Salaam
Al Gharaz Unke Har mu Pe Laakho(n) Durood
Unki Har Khu Wa Khaslat Pe Laakho(n) Salaam
Unke Har Naam O Nisbat Pe Naami Durood
Unke Har Waqt O Haalat Pe Laakho(n) Salaam
Unke Maula Ki Un Par Karoro(n) Durood
Unke As-habo Itrat Pe Laakho(n) Salaam
Paar-Haye Suhuf Ghuncha E Qudus
Ahle Bait E Nubuvvat Pe Laakho(n) Salaam
Aab E Tathir Se Jis Me Paude Jame
Uss Riyaze Najaabat Pe Laakho(n) Salaam
Khuun E Khairur Rusul Se Hai Jinka Khameer
Unki Be Lous Tinat Pe Laakho(n) Salaam
Uss Batul E Jigar Para E Mustafa
Haj-La Aara E Iffat Pe Laakho(n) Salaam
Jiska Aanchal Na Dekha Maho Meher Ne
Uss Rida E Nazahat Pe Laakho(n) Salaam
Sayyeda Zahira Tayyeba Tahira
Jaan E Ahmad Ki Raahat Pe Laakho(n) Salaam
Hasne Mujtaba Sayyedul Askhiya(n)
Raakib E Doshe Izzat Pe Laakho(n) Salaam
Ouj E Mehre Huda Mouje Bahre Nida
Ruh E Rouhe Sakhavat Pe Laakho(n) Salaam
Shahad Khware Lu-aab E Zabaan E Nabi
Chaashni Geer Ismat Pe Laakho(n) Salaam
Uss Shaheed E Balaa Shahe Ghulghu Kabaa
Bekase Dashte Gurbat Pe Laakho(n) Salaam
Durre Durje Najaf Mehre Burje Sharaf
Range Ru E Shahadat Pe Laakho(n) Salaam
Ahle Islaam Ki Maadarane Shafeeq
Baanuvane Tahaarat Pe Laakho(n) Salaam
Jalw(a)-Giyyane Baitush-Sharaf Par Durood
Pard Giyyane Iffat Pe Laakho(n) Salaam
Siyyema Pahli Maa Kah-Fe Amno Amaa(n)
Haq Gujare Rifaqat Pe Laakho(n) Salaam
Arsh Se Jispe Tasleem Naazil Hui
Us Saraa E Salamat Pe Laakho(n) Salaam
Manzillum Min Kasab La Nasab La Sakhab
Aise Koshak Ki Zeenat Pe Laakho(n) Salaam
Binte Siddeeq Araam E Jaan E Nabi
Us Hareem E Bara-at Pe Laakho(n) Salaam
Yaani Hai Sura E Noor Jinki Gawah
Unki PurNoor Surat Pe Laakho(n) Salaam
Jinme Ruhul Qudus Be-Ijazat Na Jaaye
Un Suradiq Ki Ismat Pe Laakho(n) Salaam
Sahm’e Taabaane Kaashaana E Ijtehaad
Mufti E Chaar Millat Pe Laakho(n) Salaam
Jaa(n)-Nisaran E Badro Uhad Par Durood
Haq Guzaaran E Bai’at Pe Laakho(n) Salaam
Wo Daso Jinko Jannat Ka Muzda Mila
Uss Mubarak Jama’at Pe Laakho(n) Salaam
Khaas Uss Saabik E Saire Kurbe Khuda
Ouhad E Kamiliyat Pe Laakho(n) Salaam
Sai-E Mustafa Mai-E Istafa
Izzo Naaze Khilafat Pe Laakho(n) Salaam
Asdaqus-Sadeqi Sayyedul Muttaqi
Chashmo Goshe Vejarat Pe Laakho(n) Salaam
Woh Umar Jis Ke Aada Pe Shaida Sakar
Uss Khuda Dost Hazrat Pe Laakho(n) Salaam
Fareeqe Haqqo Baatil Imamul Huda
Taighe Maslule Shiddat Pe Laakho(n) Salaam
Tarjumaan E Nabi Ham-Zabaan E Nabi
Jaan E Shaan E Adaalat Pe Laakho(n) Salaam
Jaahid E Masjid E Ahmadi Par Durood
Ddoulat E Jaishe Usrat Pe Laakho(n) Salaam
Durre Mansoor Quraa(n) Ki Silke Bahee
Zouje Do Noor E Iffat Pe Laakho(n) Salaam
Yaani Usmaan Saahab Kamees E Huda
Hulla Pushe Shahadat Pe Laakho(n) Salaam
Murtaza Shere Haq Ashja-Ul Ashja-e
Saaqi E Sheero Sharbat Pe Laakho(n) Salaam
Asl E Nasl E Safaa Wajhe Wasle Khuda
Baab E Fasle Wilayat Pe Laakho(n) Salaam
Awwali Dafa E Ahle Rifzo Khuruj
Chaar Mi Rukne Millat Pe Laakho(n) Salaam
Shere Shamsheer-J(a)n Shahe Khaibar-Shikan
Parvat E Dost Qudrat Pe Laakho(n) Salaam
Maahi E Rifzo Tafzeel O Nasb O Khurooj
Haami E Deen O Sunnat Pe Laakho(n) Salaam
Momeni Peshe Fat-ho Pase Fat-h Sab
Ahle Khairo Adaalat Pe Laakho(n) Salaam
Jis Musalmaa(n) Ne Dekha Unhe Ik Nazar
Uss Nazar Ki Basaarat Pe Laakho(n) Salaam
Jinke Dushman Pe Laanat Hai ALLAH Ki
Un Sab Ahle Muhabbat Pe Laakho(n) Salaam
Baaqi E Saakiyaan E Sharaab E Tahur
Zain E Ahle Ibadat Pe Laakho(n) Salaam
Aur Jitne Hai Shehzade Uss Shah Ke
Un Sab Ahle Makaanat Pe Laakho(n) Salaam
Unki Baala Sharafat Pe Aala Durood
Unki Waala Siyadat Pe Laakho(n) Salaam
Shafa’e Maaliki Ahmad Imam E Haneef
Chaar Baagh E Imamat Pe Laakho(n) Salaam
Kaamilan E Tareeqat Pe Kaamil Durood
Haamilan E Shariat Pe Laakho(n) Salaam
Ghouse Aazam Ima Muttuka Wannuka
Jalwa E Shaan E Qudrat Pe Laakho(n) Salaam
Kutbe Abdaalo Irshaad O Rushdurshaad
Muh-yi-e Deen O Millat Pe Laakho(n) Salaam
Mard E Khaile Tareeqar Pe Behad Durood
Farde Ahle Haqeeqat Pe Laakho(n) Salaam
Jiski Mimbar Bani Gardan E Awliyah
Uss Qadam Ki Karamat Pe Laakho(n) Salaam
Shah E Barkaato Barkaate Peshiniya(n)
Nou Bahar E Tareeqat Pe Laakho(n) Salaam
Sayyid Aale Muhammad Imamur Rashheed
Ghul E Rouze Riyazat Pe Laakho(n) Salaam
Hazrat E Hamza Shere Khuda Wa Rasool
Zeenat E Qaadriyat Pe Laakho(n) Salaam
Naam O Kaam O Tano Jaan O Haal O Makaal
Sabme Achhe Ki Surat Pe Laakho(n) Salaam
Noor-Jaa(n) Itre-Majmu’a Aale Rasool
Mere Aaqa E Ne’amat Pe Laakho(n) Salaam
Zaibe Sajjada Sajjade Noori Nihaad
Ahmad E Noor Teenat Pe Laakho(n) Salaam
Be Azaabo Aetaabo Hisaabo Kitaab
Ta Abad Ahle Sunnat Pe Laakho(n) Salaam
Tere Un Dosto Ke Tufaile Khuda
Banda-E Nange Khilqat Pe Laakho(n) Salaam
Mere Ustaad Maa-Baap Bhai Behen
Ahle Wuldo Ashirat Pe Laakho(n) Salaam
Ek Mera Hi Rehmat Me D’awa Nahi
Shah Ki Saari Ummat Pe Laakho(n) Salaam
Kaash Mehshar Me Jab Unki Aamad Ho Aur
Bheje Sab Unki Shouqat Pe Laakho(n) Salaam
Mujhse Khidmat Ke Qudsi Kahe Haa Raza
Mustafa Jaan E Rehmat Pe Laakho(n) Salaam

72 thoughts on “Mustafa Jaan E Rehmat Pe Laakho(n) Salaam (COMPLETE)

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *