Shah E Wala Mujhe Taibah Bulalo

Shah-e-Wala Mujhe Taiba Bulalo
Taiba Bulalo Mujhe Taiba Bulalo
Deyorri Ka Apni Kutta Banalo
Qadmon Se Apne Mujhko Lagalo
Sadqay Mein Sadqay Mein Sadqay Bulalo
Furqat Ke Maaron Ko Piyare Jila Lou
Pyare Jila Lou Mujhe Aaqa Jila Lou
Maula Jila Lou Mujhe Aaqa Jila Lou
Duniya Ke Jhagron Se Yaksar Chura Kar
Ghayron Ki Ulfat Ko Dil Se Mita Kar
Shah-e-Wala Mujhe Apna Banalo
Apna Banalou Mujhe Apna Banalo
Naykon Ke Sadqay Mein Hum Se Baddon Ko
Zaaron Na Zaaron Musibat Zaddon Ko
Maula Nibhalo Mere Maula Nibhalo
Haan Haan Nibhalou Mere Aaqa Nibhalou


Hotey Ho Tum Kyun Mayus Muztar
Kis Waate Ho Haira(n) Shashdar
Dukh Dard Waalo Suno Dukh Dard Waalo
Taybah Se Har Ik Apni Dawa Lo


Darushshifa E Taybah Mein Aawo
Jo Maango Fouran Muh Maangi Paawo
Andwa Wa Ghum Sab Apne Mitaalo

Ranj O Alam Sab Dil Se Nikalo

Aankhon Mein Aawo Dil Mein Samawo
Parda Uthao Jalwa Dikhao
Hasrat Zada Ki Pyare Duwa Lo

Hasrat Nikalo Meri Hasrat Nikalo

Kurbaan Jaau Kurbaan Jaau
Sar Sadqe Kar Ke Sadke Utaru 

Qadmo Mein Apne Maula Bula Lo
Maula Bula Lo Mujhe Aaqa Bula Lo

Baad E Mukhalif Tez Aa Rahi Hai
Kashti Hamari Chakra Rahi Hai
Manjdhar Mein Hai Maula Bacha Lo
Pyare Bachalo Mujhe Shaha Bacha Lo

Dolat Hai Nayya Meri Bhanvar Mein
Maula Tirawo Ayke Nazar Mein
Meri Khabariya Mere Piya Lo
Mav Ko Bacha Lo Piya Mav Ko Bacha Lo


Taa-ib Ho najdi, Aa-ib Ho najdi
Aur Ye Na Ho To Kha-ib Ho najdi

Gaayib Ho najdi Maula Nikalo
Jaldi Nikalo Inhe Jaldi Nikalo


Ye Noori Muztar Tera Sanagar
Aur Iska Ghar Bhar Ho Haazir E Darr

Apne Gada Gar Ko Dar Par Bula Lo
Amn O Amaa(n) Se Hamein Sarwar Bula Lo

1 thought on “Shah E Wala Mujhe Taibah Bulalo

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *