Dam-e-Iztirab Mujhko Jo Khayal-e-Yaar Aaye
Mere Dil main Chain Aaye,To Isse Qarar Aaye
Mujhe Kiya Ho Gham Alam ka,Mujhe Kiya Ho Gham Alam ka
Ke Ila’aj Gham Alam ka,Mere Gham Gusa’ar Aaye
Sabab-e-Gufoor-e-Rehmat Meri Bezubaniyan Hain
Na Fuga’an ke Dhang Jaano’n, Na Mujhe Pukaar Aaye
Tere Sadqe Jaaye Sha’aha Yeh Tera Zaleel Mangta
Woh Waqar le Ke Jaaye Jo Zaleel-o-Khwar Aaye
Tere Dar ke Hain Bhikari, Mile Khair Dam ha Dam Ki
Tera Naam Sun ke Da’ata, Hum Umeed Waar Aaye
Mujhe Kiya Alam Ho Gham ka,Mujhe Kiya Ho Gham Alam ka
Ke Ila'aj Gham Alam ka,Mere Gham Gusa'ar Aaye
Gul-e-Quld Le Ke Zahid, Tujhe Qaar-e-Taiba Dedon
Mere Phol Mujh Ko Dije, Bade Hoshiyaar Aaye
Mere Dil ko Darde-e-Ulfat-o-Sukoon De Ilahi
Meri Be-qaraariyon Ko Na Kabhi Qaraar Aaye
Tere Sadqe! Tera Sadqa Hai Woh Shandaar Sadqa
Woh Waqar le Ke Jaaye Jo Zaleel-o-Khwar Aaye
Hasan Un Ka Naam Le Kar, Tu Pukaar Dekh Gum Me
Ke Wo Nahi Jo Ghafil, Pas-e-Intezaar Aaye
{suallallahu alyhi wasallam}
Hassan Unka naam lekar, tu pukar dekh ghum mei, ke woh nahi ji ghafil, pas s intezar aye. Sal'Allahu-Alaihi-Wassallam. Written by grea brother of great Ala Hazrat (Radi Allah Ta'ala Unhu) named Hassan Raza Khan (Radi Allah Ta'ala Unhu).
Subhanallah
Masha Allah
SubhanAllah, fidaka Ya RasululAllah
Mujhe naz'a chain baqshe mujhe maut zindgi de
Woh agar mere sirhane dam-e-ehtezaar aae
سبحان الله💖
MashAllah
Subhanallah
MATKAA LIKHE HI NAHI BHAIJAAN AAPNE
Masha allah bhai
Masha allah bhai
Fidaka ummi wa abi ya rasoolallah sallalahu alaihi wasallam