Talab Ka Munh To Kis Qaabil Hai Ya Ghous

Talab Ka Munh To Kis Qaabil Hai Ya Ghous
Magar Tera Karam Kaamil Hai Ya Ghous

Duhaayi Ya Muhiyuddee(N) Duhaayi
Balaa Islam Par Naazil Hai Ya Ghous

Woh Sangee(N) Bid’ate Woh Teziye Kufr
Ki Sar Par Taig Dil Par Sil Hai Ya Ghous

Azooman Qaatilan Indal Qitaali
Madad Ko Aa Dame Bismil Hai Ya Ghous

Khudara Nakhuda Aa De Sahaara
Hawa Bigdi Bhanwar Haa-Il Hai Ya Ghous

Jilaa De Dee(N), Jalaa De Kufro Ilhaad
Ki Tu Muhyee Hai Tu Qaatil Hai Ya Ghous

Tera Waqt Aur Pade Yoon Deen Par Waqt
Na Tu Aajiz Na Tu Ghaafil Hai Ya Ghous

Rahi Haa(N) Shaamate Aa’maal Yeh Bhi
Jo Tu Chahe Abhi Zaa-Il Hai Ya Ghous

Ghayoora! Apni Ghairat Ka Tasadduq
Wohi Kar Jo Tere Qaabil Hai Ya Ghous

Khudara Marhame Khaake Qadam De
Jigar Zakhmi Hai Dil Ghaa-Il Hai Ya Ghous

Na Dekhoon Shakl E Mushkil Tere Aage
Koi Mushkil Si Yeh Mushkil Hai Ya Ghous

Woh Ghera Rishtaye Shirke Khafi Ne
Fansa Zunnaar Mein Ye Dil Hai Ya Ghous

Kiye Tarsa Wa Gabr Aqtaabo Abdaal
Yeh Mehez Islaam Ka Saa-Il Hai Ya Ghous

Tu Quwwat De Main Tanha Kaam Bisyaar
Badan Kamzor Dil Kaahil Hai Ya Ghous

Adoo Bad-Deen Mazhab Waale Haasid
Tu Hi Tanha Ka Zour E Dil Hai Ya Ghous

Hasad Se Inke Seene Paak Kar De
Ki Badtar Diq Se Bhi Yeh Sil Hai Ya Ghous

Ghizaaye Diq Yehi Khoo(N) Ustukhaa(N) Gosht
Ye Aatish Deen Ki Aakil Hai Ya Ghous

Diya Mujh Ko Unhe(N) Mahroom Chchora
Mera Kya Jurm Haq Faasil Hai Ya Ghous

Khuda Se Le(N) Ladaayi Woh Hai Mu’tee
Nabi Qaasim Hai Tu Moosil Hai Ya Ghous

Ataaye Muqtadir Gaffaar Ki Hain
Abas Bandon Ke Dil Mein Gil Hai Ya Ghous

Tere Baba Ka Phir Tera Karam Hai
Yeh Munh Warna Kisi Qaabil Hai Ya Ghous

Bharan Waale Tera Jhaala To Jhaala
Tera Cheenta Mera Ghaasil Hai Ya Ghous

Sana Maqsood Hai Arze Garaz Kya
Garaz Ka Aap Tu Kaafil Hai Ya Ghous

Raza Ka Khaatima Bil Khair Hoga
Teri Rehmat Agar Shaamil Hai Ya Ghous

Audio Credit: owaisqadri.com

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *