Kaun Kehta Hai Aankhei(n) Chura Kar Chale

Kaun Kehta Hai Aankhei(n) Chura Kar Chale
Kab Kisi Se Nigahe Bacha Kar Chale


Kaun Unse Nigahe Lada Kar Chale
Kiski Taaqat Hai Jo Aankhein(n) Mila Kar Chale


Wo Hansi Kya Jo Fitne Utha Kar Chale
Haan Hansi Tum Jo Fitne Mita Kar Chale


Rabb Ke Bando Ko Rab Se Mila Kar Chale
Jalwa E Haq Wo Humko Dikha Kar Chale


Jagmaga Daale Galiya(n) Jidhar Aaye Woh
Jab Chale Wo To Kooche Basa Kar Chale


Koi Maane Na Maane Ye Wo Jaan Le
Seedha Raasta Wo Sabko Bata Kar Chale


Badd Se Badd Ko Liye Jisne Agosh Me
Kab Kisi Se Wo Daaman Bacha Kar Chale


Jo Kameene The Unko Muaz-zaz Kiya
Wo Razilo Ko Seene Laga Kar Chale


Jism Par Noor Ka Yu To Saaya Na Tha
Aur Path-thar Me Nakshe Jama Kar Chale


Marte Dam Sar Dar E Paak Par Rakh Diya
Iss Adaa Se Kaza Hum Adaa Kar Chale


Kisi Jaanib Se Aayi Nida E Huzoor
Mujrimo Ki Rihayi Ka Kya Kar Chale


Daagh E Dil Humne Noori Dikha Hi Diya
Dard E Dil Ka Fasana Suna Kar Chale

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *