Jaaliyo Par Nigahein Jamee Hain

Faaslo Ko Khudara Mitaa Do
Rukh Se Parda Ab Apne Hata Do
Apna Jalwa Isi Main Dikha Do
Jaaliyo Par Nigahein Jamee Hain

Ghous Ul Azam Ho Ghous Ul Waraa Ho

Noor Ho Noor E Salle Ala Ho
Kya Bayaa(n) Aapka Martaba Ho
Dastagheer Aur Mushkil Kusha Ho
Aaj Deedar Apna Kara Do
Jaaliyo Par Nigahein Jamee Hain

Wajd Main Aayega Saara A’alam

Jab Pukarenge Ya Ghous E Azam
Wo Nikal Aayenge Jaaliyo Se
Aur Qadmo Mein Girr Jayenge Hum
Phir Kahenge Ke Bigri Bana Do
Jaaliyo Par Nigahein Jamee Hain

Shiddat E Ghum Se Ghabhra Gaya Hu

Ab To Jeene Se Tang Aa Gaya Hu
Har Taraf Aapko Dhundhta Hu
Har Ek Ek Se Ye Poochta Hu
Koyi Paigham Ho To Bata Do
Jaaliyo Par Nigahein Jamee Hain

Ek Mujrim Siyah Kaar Hu Main

Har Khata Ka Sazawar Hu Main
Mere Chaaron Taraf Hai Andhera
Roshni Ka Talabghar Hu Main
Ek Diya He Samajh Ke Jala Do
Jaaliyo Par Nigahein Jamee Hain

Sunn Rahe Hai Wo Fariyad Meri

Khaaq Hogi Na Barbaad Meri
Main Kahi Bhi Maru Shah E Jeela(n)
Rooh Pohchegi Baghdad Meri
Mujhko Parwaaz Ke Parr Laga Do
Jaaliyo Par Nigahein Jamee Hain

Fiqr Dekho Khayalat Dekho

Ye Aqeedat Ye Jazbaat Dekho
Main Hu Kya Meri Auqaat Dekho
Saamne Kaisi Hai Zaat Dekho
Apne Sarr Ko Adeeb Ab Jhuka Do
Jaaliyo Par Nigahein Jamee Hain

7 thoughts on “Jaaliyo Par Nigahein Jamee Hain

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *