Chamak Tujhse Paate Hain Sab Paane Waale Tazmeen

Tazmeen on: Chamak Tujhse Paate Hain Sab Paane Waale · by Owais Raza Qadri

Tumhi Farsh Se Arsh Par Jaane Waale
Tumhi Ne’amatein Rabb Se Dilwaane Waale
Tere Aage Sab Haath Failaane Waale

Chamak Tujhse Paate Hain Sab Paane Waale
Mera Dil Bhi Chamka De Chamkane Waale

Hai Be Misl Tera Karam Jaan E Izzat
Ghulamon Pe Har Dam Hai Teri Inayat
Wo Gulshan Ho Sehra Ho Dariya Ke Parbat

Barasta Nahi Dekh Kar Abr E Rehmat
Badoo(n) Par Bhi Barsa De Barsane Waale

Hain Makke Ke Jalwe Bhi Maana Ke Achhe
Magar Main Madine Ki Azmat Ke Sadqe
Ise To Hai Nisbat Mere Mustafa Se

Madine Ke Khitte Khuda Tujhko Rakhhe
Ghareebo Faqeero Ke Thehrane Waale

Ye Najdi Munaafiq Hai Ganda Hai WALLAH
Ghalazat Ka Balke Pulanda Hai WALLAH
Jahannam Pe Naam Uska Kunda Hai WALLAH
Jo Murda Kahe Tumko Murda Hai WALLAH

Tu Zinda Hai WALLAH Tu Zinda Hai WALLAH
Mere Chashme Aalam Se Chup Jaane Waale

Suwaari Se Apni Tu Jis Dam Utarna
Madine Ke Zaair Zara Tu Sambhalna
Wahaan Tha Mere Mustafa Ka Guzarna

Haram Ki Zamee(n) Aur Qadam Rakh Ke Chalna
Are Sar Ka Mouqa Hai O Jaane Waale

Kabhi Ghous O Khwaja Ke Naamo Se Uljhe
Duroodo Se Uljhe Salaamo Se Uljhe
Shahi Ul Aqeedah Imaamo Se Uljhe

Tera Khaye Tere Ghulamo Se Uljhe
Hai Munkir Ajab Khaane Gurrane Waale

Kabhi Ghous O Khawja Ke Naaro Se Uljhe
Kabhi Awliyah Ke Mazaaro Se Uljhe
Ye Kha Kar Niyazein Niyazon Se Uljhe

Tera Khaye Tere Ghulamo Se Uljhe
Hai Munkir Ajab Khaane Gurrane Waale

Ghulam E Nabi Khuld Mein Jaa Basega
Jahannam Mein Najdi Munafiq Jalega
Jo Sunni Hai Wo To Hamesha Kahega

Rahega Yu Hi Unka Charcha Rahega
Pade Khaaq Ho Jaye Jal Jaane Waale

Aye Mushkil Kusha Kijiye Mushkil Kushayi
Tadap Kar Jo Maine Sada Ye Lagayi
Aaqa Ki Rahmat Ye Paigham Layi

Ab Aayi Shafa'at Ki Sa'at Ab Aayi
Zara Chain Le Mere Ghabhrane Waale

Sada Geet Unki Mohabbat Ke Gaana
Jigar Najdiyon Ke Yun Hi Tum Jalaana
Ubaid E Raza Unse Dhoka Na Khaana
Raza Ka Ye Paigaam Na Bhool Jana

Raza Nafs Dushman Hai Dumme Na Aana
Kaha Tumne Dekhe Hai Chandrane Waale

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top