Naematein Baat’ta Jis Samt Wo Zeeshan Gaya (with audio)

Naematein BaanT-ta Jis-Samt Woh Zeeshaan Gaya
Saath Hii Munshi-E-Rahmat Ka Qalamdaan Gaya

Lay Khabr Jald Kay Ghairon Kii Taraf Dhayaan Gaya
Mere Mawla, Mere Aaqa, Tere Qurbaan Gaya

Aah Woh Aankh Jo nakaame Tamanna Hi Rahi
Haye Wo Dil Jo Tere Darr Se Pur-Armaan Gaya

Dil Hai Voh Dil Jo Teri Yaad Se Mamoor Raha
Sar Hai Voh Sar Jo Tere Qadmon Pe Qurbaan Gaya

Unhe Jaana, Unhe Maana Na Rakha Gair Se kaam
Lillahil Hamd Main Duniya Se Musalmaan Gaya

Aur Tum Par Mere Aaqa Kii ‘Inaayat Na Sahii
Najdiyo Kalimah PaRhaanay Ka Bhi Ehsaan Gaya

Aaj Lay Unki Panaah, Aaj Madad Maang Unsay
Phir Na Maaneingay, Qayamat Mein Agar Maan Gaya
 
Uff Re Munkir Ye Badha Joshe Ta-assub Aakhir
Bheed Me Haath Se Kambakht Ke Imaan Gaya

Jaan O Dil Hosh O Khird Sab Tau Madinay Paunchay
Tum Nahin Chaltay Raza Saara Tou Saamaan Gaya



TO DOWNLOAD AUDIO CLICK HERE
Note: To Download any one of the following Hamd-o-Sana, please “Right Click” and then click on “Save Target As…”. You can listen these Files by RealPlayer/VLC Player

17 thoughts on “Naematein Baat’ta Jis Samt Wo Zeeshan Gaya (with audio)”

  1. Sunniyat Zindabad
    Imam e Ishq o muhabbat Suuniyoon ki phechaan Janisaar e Aaqa SAWW saif e Sunniyat Ala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan Fazil E Barelvi RA ne apni amal or kalam se Hamry dilon me Ishq e Mustafa taa qayaamat tk taaza kardia hai ❤

  2. Assalam u alaikum…Yr koi is misra'y ka mtlb samja skta hai (sath hi "MUNSHI E RAHMAT" ka qalamdan gya) is main munshi e rahmat sy kya murad….ye lafz kis k liye istamal kiya gya hai?

  3. Munshi Rahmat Yahan Allah Tabarak Wa ta'la Ko Kaha Gaya Hai (Yaani Rahmat Ka Paida Karne Wala) Munshi e Rahmat Ka Qalamdaan Gaya Ka maane hua Ke Jab Mere Aaqa Nematein Bant te Hue Jaate Hain To Allah Tabarak Wa ta'la Apne farishte ko Qalamdaan Ke saath bhej deta hai…Ke kab Kahan kitni rahmatein kiski jholi me likhni pade

  4. haq hai… SubhanAllah MashAllah
    beshaq,
    daal di kalb me azmate mustafa sayyedy aala hazrat pe lakho salam

    #Maslaq-e-AalaHazrat ….zindabaad.. zindabaad

Leave a Reply to Anonymous Cancel Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top