Muhammad Mazhar E Kaamil Hain Haq Ki Shaan E Izzat Ka

Muhammad Mazhar E Kaamil Hain Haq Ki Shaan E Izzat Ka, 
Nazar Aata Hay Is Kasrat Mein Kuch Andaaz Wahdat Ka. 

Yahi Hay Asl E Aalam E Maadah Ijaad E Khalqat Ka, 
Yahaan Wahdat Mein Barpa Hay Ajab Hangaama Kasrat Ka. 

Gadaa Bhi Muntazir Hay Khuld Mein Nekon Ki Da’wat Ka, 
Khuda Din Khair Sey Laaye Sakhi Key Ghar Ziyafat Ka. 

Gunah Maghfoor, Dil Raushan, Khanak Aankhein, Jigar Thanda, 
Ta’ala Allah Maah E Taiba Aalam Teri Tal’at Ka. 

Na Rakhi Gul Key Josh E Husn Ne Gulshan Mein Jaa Baaqi, 
Chatakta Phir Kahaan Ghuncha Koi Baagh E Risaalat Ka. 

Barhaa Ye Silsila E Rahmat Ka Daur E Zulf E Waala Mein 
Tasalsal Kaale Koson Reh Gaya Isiyan Ki Zulmat Ka. 

Saf E Maatam Uthe Khaali Ho Zindaan Tootein Zanjeerain, 
Gunahgaaro Chalo Mawla Ne Dar Khola Hay Jannat Ka. 

Sikhaaya Hay Yeh Kis Gustaakh Ne Aaina Ko Yaa Rab, 
Nazaarah Rooye Jaanaan Ka Bahaana Kar Key Hairat Ka. 

Idhar Ummat Ki Hasrat Par Udhar Khaaliq Ki Rahmat Par, 
Niraala Taur Hoga Gardish E Chashme Shafa’at Ka. 

Barhein Is Darja Maujein Kasrat E Afdaal E Waala Ki, 
Kinaarah Mil Gaya Is Neher Sey Daryaa E Wahdat Ka. 

Kham E Zulf E Nabi Saajid Hay Mehraab E Do Abru Mein, 
Ke Yaa Rab Tu Hi Waali Hay Siyah Kaaraan E Ummat Ka. 

Madad Aay Joshish E Girya Baha De Kooh Aur Sehra, 
Nazar Aa Jaaye Jalwah Be Hijaab Us Paak Turbat Ka. 

Hue Kam Khwaabi-E-Hijraan Mein Saaton Parde Kam Khwaabi, 
Tassawwur Khoob Baandha Aankhon Ne Astaar E Turbat Ka. 

Yaqeen Hay Waqt E Jalwah Laghzishain Paaye Negah Paaye, 
Mile Josh E Safaaye Jism Sey Paa Bos Hazrat Ka. 

Yahaan Chirka Namak Waa Marham E Kafoor Haath Aaya, 
Dil E Zakhmi Namak Parwardah Hay Kis Ki Malaahat Ka. 

Ilaahi Muntazir Hoon Woh Khiraam E Naaz Farmaaein, 
Bicha Rakha Hay Farsh Aankhon Ne Kam Khwaab E Basaarat Ka. 

Na Ho Aaqa Ko Sajdah Adam O Yusuf Ko Sajdah Ho, 
Magar Sad E Zaraay’ E Daab Hay Apni Shari’at Ka. 

Zabaan E Khaar Kis Kis Dard Sey Un Ko Sunaati Hay, 
Tarapna Dasht E Taiba Mein Jigar Afgaar Furqat Ka. 

Sirhaane Un Key Bismil Key Ye Betaabi Ka Matam Hay, 
Shahe Kausar Tarahham Tishnah Jaata Hay Ziyaarat Ka. 

Jinhein Marqad Me Taa Hashr Ummati Keh Kar Pukaroge, 
Hamain Bhi Yaad Kar Lo Un Mein Sadqa Apni Rahmat Ka. 

Woh Chamke Bijliyan Yaa Rab Tajalli Haaye Jaanaan Sey, 
Ke Chashm E Toor Surma Ho Dil Mushtaaq Rooyat Ka. 

Raza E Khasta Josh E Behr E ’Isiyaan Sey Na Ghabraana, 
Kabhi To Haath Aajaayega Daaman Unki Rahmat Ka.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *