Muravvato ke Jameel Paykar Rafeeq E Millat Najeeb Hayder

Muravvato ke Jameel Paykar
Rafeeq E Millat Najeeb Hayder
Inayaton Ke Sarapa Khu-gar
Rafeeq E Millat Najeeb Hayder

Amanato Ke Sharafato Ke 
Najaabato Aur Fazeelato Ke
Luta Rahe Hain Haseen Gouhar
Rafeeq E Millat Najeeb Hayder

Isharatein Inki Pyari Pyari
Hiqayatein Inki Nyari Nyari
Balahaton Ke Daraksha(n) Akhtar
Rafeeq E Millat Najeeb Hayder

Nawazishe Inki Be-Misaali
Ye Bhar Hi Dete Hain Kaasa Khali
Hain Be-Nawao Ke Aap Yaavar
Rafeeq E Millat Najeeb Hayder

Hain Ye Shariyat Ke Durre Yakta
Hain Ye Tareeqat Ke Kohe Baala
Hamare Haadi Hamare Rehbar
Rafeeq E Millat Najeeb Hayder

Bohat Ziyada Shafeeq Hain Ye
Bohat Ziyada Khaleeq Hain Ye
Haseen Inka Har Ek Tewar
Rafeeq E Millat Najeeb Hayder

Ye Noorie Gaddi Ke Pasbaa(n) Hain
Ye Baagh E Barkat Ke Baghba(n) Hai
Hain Meharbaan Ye Hamare Dilbar
Rafeeq E Millat Najeeb Hayder

Ho Tang Nazri Ki Door Zulmat
Ho Har Su Roushan Charagh E Ulfat
Lage Hai Koshish Mein Ye Sarasar
Rafeeq E Millat Najeeb Hayder

Mere Labon Pe Yahi Dua Hain
Yahi Mushahid Ka Mudd’a Hain
Rahe Saro Par Ye Saaya Gustar
Rafeeq E Millat Najeeb Hayder

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *