Ek Main Hi Nahi Unn Par Qurbaan Zamana Hai

Ek Main Hi Nahi Unn Par Qurbaan Zamana Hai
Jo Rabb E Do A’alam Ka Mehboob Yagana Hai

Kal Pul Se Hamey Jisne Khud Paar Lagana Hai
Zahra Ke Wo Baba Hai Hasnain Ke Nana Hai

Izzat Se Na Kyu Marr Jaayein Naam E Muhammad Par
Yun Bhi Kisi Din Humne Duniya Se To Jaana Hai

Pur Noor Siraahe Hai Ghumbad Pe Nigahein Hai
Jalwe Bhi Anokhe Hain Manzar Bhi Suhana Hai

Yeh Keh Ke Dar E Haq Se Li Maut Me Kuch Mohlat
Milaad Ki Aamad Hai Mehfil Ko Sajana Hai

Aao Dar E Zahra Par Failaaye Hue Daaman
Ye Nasl Kareemo Ki Lajpaal Gharana Hai

Mehroom E Karam Isko Rakhna Na Sar E Mehshar
Jaisa Hai Naseer Aakhir Sa’il To Purana Hai

5 thoughts on “Ek Main Hi Nahi Unn Par Qurbaan Zamana Hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *