Wo Kamaale Husn E Huzoor Hain

Wo Kamaal E Husn E Huzoor Hai Ke Ghumaan E Naqsh Jahaan Nahi
Yahi Phool Khaar Se Duur Hai Yahi Shama’e Hai Ke Dhuwa Nahi

Do Jahaan Ki Behtariyan Nahi Ke Amaaniye Dil O Jaan Nahi
Kaho Kya Hai Wo Jo Yaha Nahi Magar Ik “Nahi” Ke Wo Haan Nahi

Main Nisaar Tere Kalaam Par Mili Yun To Kisko Zabaan Nahi
Wo Sukhan Hai Jisme Sukhan Na Ho Wo Bayaa(N) Hai Jiska Bayaan Nahi

Ba-Khuda Khuda Ka Yahi Hai Darr Nahi Aur Koyi Mafar Maqar
Jo Waha Se Ho Yahi Aa Ke Ho Jo Yaha Nahi Wo Waha Nahi

Karein Mustafa Ki Ihaanatein Khule Bando Uss Par Ye Jur’ate
Ke Main Kya Nahi Hu Muhammadi? Arey Haa Nahi Arey Haa Nahi

Tere Aagey Yu(N) Hai Dabey Lachey Fusaha Arab Ke Bare Bare
Koi Jaane Muh Me Zabaa(N) Nahi Nahi Balke Jism Mein Jaa(N) Nahi

Wo Sharf Key Qat’a Hai Nisbatein Wo Karam Ke Sab Sey Qareeb Hain
Koi Keh Do Yaas O Ummeed Se Wo Kahee Nahi Wo Kahaa(N) Nahi

Hain Unhi Ke Noor Se Sab Ayaa(N) Hain Unhi Ke Jalwe Mein Sab Nihaa(N)
Bane Subh Taabish Mehr Se Rahe Pesh E Mehr Ye Jaa(N) Nahi

Wahi Noor E Haq Wahi Zill E Rabb Hai Unhi Se Sabb Hai Unhi Ka Sabb
Nahi Unki Milk Mein Aasmaan Ke Zamee(N) Nahi Ke Zamaa(N) Nahi

Wahi La-Makaa(N) Ke Makee(N) Huwe Sare Arhs Takht Nashee(N) Huwe
Wo Nabi Hai Jiske Hai Ye Makaa(N) Wo Khuda Hai Jiska Makaa(N) Nahi

Sar E Arsh Par Hai Teri Guzar Dil E Farsh Par Hai Teri Nazar
Malakoot O Mulk Mein Koyi Shay Nahi Wo Jo Tujh Pe Ayaan Nahi

Karoo Tere Naam Pe Jaan Fida Na Bas Ek Jaan Do Jahaan Fida
Do Jahaan Se Bhi Nahi Jee Bhara Karu Kya Karoro(N) Jahaan Nahi

Tera Qad To Naadir E Dahr Hai Koi Misl Ho To Misaal De
Nahi Ghul Ke Paudo Me Daaliya Ke Chaman Mein Sar O Chamaa Nahi

Karu Madhe Ahle Duwal Raza Parey Iss Balaa Mein Meri Balaa
Main Gada Hu Apne Kareem Ka Mera Deen Para E Naa Nahi

51 thoughts on “Wo Kamaale Husn E Huzoor Hain

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *