Mustafa E Zaat E Yakta Aap Hain (Complete)

Mustafa E Zaat E Yakta Aap Hain
Yak Ne Jisko Yak Banaya Aap Hain

Aabo Gil Mein Noor Ki Pehli Kiran
Jaane Aadam Jaane Hawwa Aap Hain

La Makaan Tak Jis Ki Phaili Raushni
Wo Charaage Aalam Aara Aap Hain

Hai Namak Jis Ka Khameer E Husn Mein
Wo Maleehe Husn Aara Aap Hain


Naazish E Arsho Waqaar E Arshiyaan
Saahibe Qausain O Adna Aap Hain


Aap Ki Tal’at Khuda Ka Aaina
Jis Mein Chamke Haq Ka Jalwa Aap Hain


Aap Jaisa Koyi Ho Sakta Nahi
Apni Har Khoobi Mein Tanha Aap Hain

Aapko Rab Ne Kiya Apna Habeeb
Saari Khalqat Ka Khulasa Aap Hain

Aapki Tal’at Ko Dekha Jaan Di
Qabr Mein Pohcha To Dekha Aap Hain


Aapki Khatir Banaye Do Jahaan
Apni Khatir Jo Banaya Aap Hain

Jaan Tui Jaanam Qaraare Jaan Tui
Jaane Jaan Jaane Maseeha Aap Hain

Aapse Khud Aap Ka Saail Hun Main
Jaane Jaan Meri Tamanna Aap Hain


Bar Darat Aamad Gada Behre Suwaal

Ho Bhala Akhtar Ka Daata Aap Hain

Sallallahu Alaihe Wasallam


46 thoughts on “Mustafa E Zaat E Yakta Aap Hain (Complete)

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *