Shukr E Khuda Ki Aaj Ghadi Us Safar Ki Hai

Shukr E Khuda Ki Aaj Ghadi Us Safar Ki Hai
Jis Par Nisaar Jaan Falaaho Zafar Ki Hai

Garmi Hai Tap Hai Dard Hai Kulfat Safar Ki Hai
Na Shukr Ye To Dekh Azeemat Kidhar Ki Hai

Kis Khaaqe Paak Ki Tu Banee Khaaqe Pa Shifa
Tujhko Kasam Janab E Maseeha Ke Sarr Ki Hai

Aabe Hayaat E Ruh Hai ‘Zarqa’ Ki Boond Boond
Akseer A’azame Mase Dil Khaaq Darr Ki Hai

Humko To Apne Saaye Me Aaram Hi Se Laaye
Heele Bahane Waalo Ko Ye Rah Darr Ki Hai

Lut-te Hai Maare Jaate Hai Yu Hi Suna Kiye
Har Baar Di wo Aman Ki Ghairat Hajar Ki Hai

Wo Dekho Jagmagati Hai Shab Aur Qamar Abhi
Pahro Nahi Ki Bisto Chahrum Safar Ki Hai

Maahe Madina Apni Tajalli Ataa Kare
Ye Dhalti Chandni To Pahar Do Pahar Ki Hai

Mann Zaar-Turbati Wa-J-Bat Lah Shafa’ati
Un Par Durood Jinse Naved In Bashar Ki Hai

Unke Tufail Haj Bhi Khuda Ne Kara Diye
Asl E Muraad Haazri Uss Paak Darr Ki Hai

Ka’abe Ka Naam Tak Na Liya Taibah Hi Kaha
Poocha Tha Humse Jisne Ki Nuhzat Kidhar Ki Hai

Ka’aba Bhi Hai Unhi Ki Tajalli Ka Ayk Zill
Roushan Unhi Se Aks Se Putli Hajar Ki Hai

Hote Kaha Khaleelo Bina Ka’aba Wo Mina
Lau Laak Wale Sahibe Sab Tere Ghar Ki Hai

Maula Ali Ne Vaari Teri Neend Par Namaz
Aur Wo Bhi Asr Sabse Jo A’ala Khatar Ki Hai

Siddeeq Balki Ghaar Me Jaa(n) Uss Pe De Chuke
Aur Hifze Jaa(n) To Jaan Furuze Gurar Ki Hai

Haa(n) Tu Ne Unko Jaan, Unhe Fer Di Namaz
Par Wah To Kar Chuke The Jo Karni Bashar Ki Hai

Sabit Hua Ki Jumla Faraiz Furu’a Hai
Aslul Usool Bandagi Us Taajvar Ki Hai

Shar Khair, Shor Sur, Sharar Dur, Naar Nur
Bushra Ki Baargah Ye Khairul Bashar Ki Hai

Mujrim Bulaye Aaye Hai ‘Jau-k’ Hai Gawah
Phir Radd Ho Kab Ye Shaan Kareemo Ke Darr Ki Hai

Badd Hai Magar Unhi Ke Hai Baaghi Nahi Hai Hum
Najdi Na Aaye Usko Ye Manzil Khatar Ki Hai

Tuf Najdiyat Na Kufr Na Islam Sab Pe Harf
Kafir Idhar Ki Hai Na Udhar Ki Adhar Ki Hai

Haakim Hakeem Daado Dawa De Ye Khuch Na De
Mardood Ye Muraad Kis Aayat Khabar Ki Hai

Shakle Bashar Me Noore Ilahi Agar Na Ho
Kya Kadr Us Khameera E Maao Mad(a)r Ki Hai

Noore Ilahi Kya Hai Muhabbat Habeeb Ki
Jis Dil Me Ye Na Ho Wo Jagah Khufo Khar Ki Hai

Zikre Khuda Jo Unse Juda Chaho Najdiyo
WALLAH Zikre Haq Nahi Kunji Sakar Ki Hai

Be Unke Waaste Ke Khuda Kuch Ataa Kare
Haasha Galat Galat Ye Hawas Be-basar Ki Hai

Maqsood Ye Hai Aadamo Nuuho Khaleel Se
Tukhme Karam Me Saari Karamat Samar Ki Hai

Unki Nubuvvat Unki Ubuvvat Hai Sabko Aam
Ummul Bashar Aroos Unhi Ke Pesar Ki Hai

Zaahir Me Mere Phool Haqeeqat Me Mere Nakhl
Uss Ghul Ki Yaad Me Ye Sadaa Bul Bashar Ki Hai

Pehle Ho Unki Yaad Ki Paaye Jila Namaz
Yeh Kehte Hai Azaan Jo Pichle Pahar Ki Hai

Duniya Mazaar Hashr Jahaan Hai Ghafoor Hai
Har Manzil Apne Chaand Ki Manzil Gafar Ki Hai

Un Par Durood Jinko Hajar Tak Kare Salaam
Un Par Salaam Jinko Tahiyyat Shajar Ki Hai

Un Par Durood Jinko Kase Be-kasa Kahe
Un Par Salaam Jinko Khabar Be-khabar Ki Hai

Jinno Bashar Salaam Ko Haazir Hai Assalam
Yeh Bargah Maalik E Jinno Bashar Ki Hai

Shamso Qamar Salaam Ko Haazir Hai Assalam
Khubi Unhi Ki Jyot Se Shamso Qamar Ki Hai

Sab Bahro Bar Salaam Ko Hazir Hai Assalam
Tamlik Unhi Ke Naam To Har Bahro Bar Ki Hai

Sango Shajar Salaam Ko Haazir Hai Assalam
Kalme Se Tar Zabaan Darakhto Hajar Ki Hai

Arzo Asar Salaam Ko Hazir Hai Assalam
Malja Ye Baargah Dua O Asar Ki Hai

Shorida Sarr Salaam Ko Hazir Hai Assalam
Raahat unhi Ke Qadmo Me Shorida Sarr Ki Hai

Khasta Jigar Salaam Ko Hazir Hai Assalam
Marham Yahi Ki Khaak To Khasta Jigar Ki Hai

Sab Khushko Tar Salaam Ko Hazir Hai Assalam
Ye Jalwa Gaah Maalike Har Khushko Tar Ki Hai

Sab Karro Far Salaam Ko Hazir Hai Assalam
Topi Yahi to Khaaq Pe Har Karro Far Ki Hai

Ahle Nazar Salaam Ko Hazir Hai Assalam
Ye Gard Hi Surma Sab Ahle Nazar Ki Hai

Aansu Baha Ki Beh Gaye Kaale Gunah Ke Dher
Haathi Dubav Jheel Yaha Chashme Tar Ki Hai

Teri Kaza Khaleefa E Ahkaame Zil jalaal
Teri Raza Haleef Kazawo Kadar Ki Hai

Yeh Pyari Pyari Kyari Tere Khaana Baagh Ki
Sard Isko Aabo Taab Se Aatash Safar Ki Hai

Jannat Me Aa Ke Naar Me Jaata Nahi Koi
Shukre Khuda Naweed Najaato Zafar Ki Hai

Mo’min hu Mo’mino Pe Rauf Ur Raheem Ho
Sa-il Hu Sa-ilo Ko Khushi La-Nahar Ki Hai

Daaman Ka Waasta Mujhe Is Dhup Se Bacha
Mujhko To Shaak Jaado Me Us Duphar Ki Hai

Maa Dono Bhai Bete Bhateeje Azeez Dost
Sab Tujhko Soupe Milk Hi Sab Tere Ghar Ki Hai

Jin Jin Muraado Ke Liye Ahbaab Ne Kaha
Peshe Khabeer Kya Mujhe Haajat Khabar Ki Hai

Fazle Khuda Se Ghaib E Shahadat Hua Unhe
Iss Par Shahadat Aayato Wahiyo Asar Ki Hai

Kahna Na Kahne Wale The Jab Se Tu ittela’a
Maula Ko Qoulo Qailo Har Khusko Tar Ki Hai

Unn Par Kitaab Utri Bayaanul Li-Kulli Shay
Tafseel Jisme Abaro Ma Gabar Ki Hai

Aage Rahi Ataa Wo Baqadre Talab To Kya
Aadat Yaha Ummeed Se Bhi Beshtar Ki Hai

Be Maange Dene Wale Ki Ne’amat Me Gark Hai
Maange Se Jo Mile Kise Faham Is Kadar Ki Hai

Ahbaab Iss Se Badh Ke To Shayad Na Paaye Arz
Na Karda Arz Arz Ye Tarze Digar Ki Hai

Dandaa(n) Ki Naat Khwa Hu Na Payab Hogi Aab
Naddi Gale-Gale Mere Aabe Guhar Ki Hai

Dashte Haram Me Rehne De Sayyad Agar Tujhe
Mitti Azeez Bulbule Be-Baalo Par Ki Hai

Ya Rabb Raza Na Ahmade Parina Hoke Jaay
Ye Bargah Tere Habeebe Abarar Ki Hai

Taufeeq De Ki Aage Na Paida Ho Khu-e Badd
Tabdeel Kar Jo Khaslate Badd Peshtar Ki Hai

Aa Kuch Suna De Ishq Ke Bolo(n) Me Ay Raza
Mushtaq Tab-a Lazzate Soze Jigar Ki Hai

3 thoughts on “Shukr E Khuda Ki Aaj Ghadi Us Safar Ki Hai

  • JazakAllah JazakAllah JazakAllah JazakAllah fiddaarain …. May Allah bless you with everything you want … trust me how much i have benefited from this website , i haven't benefited that much from any other Website yes ! Not frm Any other website this much .. I'll prefer this website forrrrr eveerryyyyyone … it has the best collection of na'at lyrics Ma shaa Allah of my Peer-o-murshid Sayyadi Aala Hazrat رضي الله عنه. And my role model Muhammad Owais Raza Quadri …

    Ye website sabseeee achchi hai
    jazakAllah isse mujhe bahooiot faayda hua hai ke jitna aur kisiiii website se nahi hua …JazakAllah JazakAllah JazakAllah – hindi translation
    Allah paak aapki har dua ko apne pyaare habeebﷺ ke sadqe me qabool farmaye

    آميــــــــــــــــــــن

  • Subhan Allah ta qayamat Aisa dusra ASHIQ e rasool milna mushkil hai Jo Quran ke tafseer va Hadis ke Mafhum ko tarannum dhaal de.
    Ya Allah Ta qayamat mere eimaan ko tazagi aur salamati ataa karne wale tere dost Imam e Ishq o muhabbat SAIYYADI SARKAR A'ALA HAZRAT IMAM AHMED RAZA KHAN (Radio allahu anhu) ki kabro anwaar par Rahmatobki baarish barsa.aur unka daaman hamesha hamare haath me rakh.
    Aameen

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *