Bheeni Suhani Sub’h Mei Thandak Jigar Ki Hai

Bheeni Suhani Sub’h Mei Thandak Jigar Ki Hai
Kaliyaa(n) Khili Dilo Ki Hawa Ye Kidhar Ki Hai.

Khubti Huwi Nazar Mei Adaa Kis Sahar  Ki Hai
Chubhti Huwi Jigar mei Sadaa Kis Gajar Ki Hai.

Daaley Hari Hari Hai To  Baaley Bhari Bhari
Kishte Amal Pari Hai Ye Barish Kidhar Ki Hai.

Hum Jaye Aur Qadam Se Lipat Kar Haram Kahey
Sounpa  Khuda Ko Ye Azmat Kis Safar Ki Hai.

Hum Girdey Kaaba Phirte They Kal Tak Aur Aaj Wooh
Hum Par Nisaar Hai Ye Iradat Kidh’ar Ki Hai.

Kalik Jabee(n) Ki Sajdaaye Dar Se Chudaavogey
Mujh Ko Bhi Le Chalo Ye Tamanna Hajar Ki Hai.

Dooba Huwa Hai Shouq Mei Zam Zam Aur Aankh se
Jhaale Baras Rahey Hai Ye Hasrat Kidhar Ki Hai.

Barsa Ke Jaane Walo Pa Ghouhar Karu Nisaar
Abrey Karam Se Arz Ye Mizaabey Zar Ki Hai.

Aagooshe Shouq Kholey Hai Jin Ke Liye Hateem
Woh Phir Ke Dekhte Nahi Ye Dhun Kidhar Ki Hai.

Haa’n Haa’n Rahey Madina Hai Ghafil Zara Tu Jaag
Wo Paav Rakhne Waley Ye Jaa Chashmo Sar Ki Hai.

Waaru Qadam Qadam Pa Kay  Har Dam Hai Jaane Nao
Ye Raahey Jaa(n) Fiza Mere Moula Ke Dar Ki Hai.

Ghadiya Gini Hai Barso Ke Ye Shubh Ghadi Phiri
MarMar Ke Phir Ye Sil Mere Seene Se Sar Ki Hai.

Allaho Akbar Apne Qadam Aur Ye Khaakey Pak
Hasrat Malai’ka  Ko Jahaan Waz’ye Sar Ki Hai.

Mea’raj Ka Sama Hai Kaha Pahonchey Zae’roo
Kursi Se Onchi Kursi Usi Pak Ghar Ki Hai.

Ushhaq Rouza Sajdey Mei Suye Haram Jhukey
Allah Jaanta Hai Ke Niyyat Kidhar Ki Hai.

Ye Ghar Ye Dar Hai Uska Jo Ghar Dar Se Paak Hai
Muzhdah Ho Be-Gharo Kay Salaa Achchey Ghar Ki Hai.

Mehboobe Rabbe Arsh Hai Is Sabz Qubba Mei
Pahlu Mei Jalwa Gah Ateeqo Umar Ki Hai.

Chaye Malaika Hai Lagaatar Hai Durood
Badley Hai Pahrey Badli Mei Barish Durar Ki Hai

Sa’dayn Ka Qiraan Hai Pahluye Maah Mei
Jhurmut Kiye Hai Taarey Tajalli Qamar Ki Hai.

Sattar Hazaar Subh Mei Sattar Hazaar Shaam
Yun Bandagiye Zulfo Rukh Aatho Pahar Ki Hai.

Jo Ek Baar Aye Dobara Na Ayenge
Rukhsat  Hi  Bargah Se Bas Is Qadar Ki Hai.

Tadpa Karey Badal Ke Phir Aana Kaha Naseeb
Bey Hukm Kab Majaal  Parinde ko Par ki Hai.

Ay Waye Beikasiye Tammana Ke Ab Ummeed
Din Ko Na Shaam Ki Hai Na Shab Ko Sahar Ki Hai

Ye Badliya(n) Na ho To Karooro(n) ki Aas Jaye
Aur Bargaahe  Marhamate Aaam Tar Ki Hai.

Masoom Ko Hai Umr Mei Sirf Ek Bar Bar
Aasi Padey Rahe To Sila Umr Bhar Ki Hai.

Zinda Rahe To Haazriye Baargaah Naseeb
Mar Jaye To Hayaate Abad Aysh Ghar Ki Hai.

Moflis Aur Aisey Dar Se Phirey Be-Ghani Huve
Chandi Har Ek Tarah To Yaha Gadiya Gar Ki Hai.

Jaana Pe Takiya Khaak Nihali Hai Dil Nihaal
Han Be-Nawa’o Khoob Ye Sorat Guzar Ki Hai.

Hai Chatro Takht Saya-e Dewaaro Khaake Dar
Shaho Ko Kab Naseeb Ye Dhaj Karro Far Ki Hai.

Iss Paak Ku Mei Khaak Ye Basar Sar-Ba-Khaak Hai,
Samjhe Hai Kuch Yahi Jo Haqiqat Basar Ki Hai.

Kyo Taajdaaro! Khwaab Mei Dheki Kabi Ye Shai
Jo Aaj Jholiyo mei  Gadhayaane Dar Ki Hai.

Jaaru-kasho Mei  Chehre Likhey Hai Mulook Ke
Wo Bhi Kaha Naseeb Faqat Naam Bhar Ki Hai.

Taiba Mei Mar Ke Thande Chaley Jaav Aankhey Bandh
Seedhi Sadak Ye Shahre  Shafa’t Nagar Ki Hai.

Aasi Bhi Hai Chahitey Ye Taiba Hai Zahido!
Makka Nahi Ke Jaanch Jaha Khair O Shar Ki Hai.

Shaane Jamaal Taiba Jana Hai Naf’a Mahaz
Wus’at Jalale Makka Mei Soodo Zar Ki Hai.

Kaba Hai Beshak Anjum-Aara Dulhan Magar
Saari Bahar Dhulhano Mei Dulha Ke Ghar Ki Hai.

Kaba Dhulhan Hai Turbate At-har Nayi Dulhan
Ye Rashk E Aftaab Wo Gairat Qamar Ki Hai.

Dono Bani Sajeeli Aneeli Bani Magar
Jo Pe’ Ke Paas Hai Wo Suhagan Kun’war Ki Hai.

Sar Sabze Wasl Ye Hai Siyaa Poshey Hijr Wo
Chamki Dupatto Se Hai Jo Haalat Jigar Ki Hai.

Ma Wo Shuma To Kya Ke Khaleel E Jaleel Ko
Kal Dhekna Ki Unse Tamanna Nazar Ki Hai.

Apna Sharaf Dua Se Hai Baaki Raha Kabool
Ye Jaane Unke Haath Mei Kunji Asar Ki Hai.

Jo Chahey Unse Maang Ki Dono Jahaa’n Ki Khair
Zar Na-Khareeda Ek Kaneez Unke Ghar Ki Hai.

Roomi Ghulam Din Habshi Baandiya(n) Shab’e
Ginti Kaneez Zaado Mei Shaamo Sahar Ki Hai.

Itna Ajab Bulandiye Jannat Pe Kisliye
Dekha Nahi Ke Bheek Ye Kis Unchey Ghar Ki Hai.

Arshe Bari Pe Kyo Na Ho Firdous Ka Dimaagh
Utri Huvi Shabeeh Tere Baamo Dar Ki Hai.

Wo Khuld Jismei Utregi Abrar Ki Baraat
Adna Nichawar Uss Mere Dulha Ke Sar Ki Hai.

Amber Zamee(n), Abeer Huwa Mushke-Tar Gubaar
Adna Si Ye Shanaakhat  Teri Rahguzar Ki Hai.

Sarkaar Hum Gawaro Mei Tarze Adab Kaha
Humko To Bas Tameez Yahi Bheek Bhar Ki Hai.

Maangenge Maange Jayenge Muh Maangi Payenge
Sarkar Mei Na LAA Hai Na Hajat Agar Ki Hai.

Uff Be-Hayayi’aa Ke Ye Muh Aur Tere Huzoor
Ha Tu Kareem Hai Teri Khu’ Dar Guzar Ki Hai.

Tujh Se Chupau Muh To Karu Kiske Saamne 
Kya Aur Bhi Kisi Se Tawaqqo Nazar Ki Hai.

Jaavu Kaha Pukaru Kisey Kiska Muh Taku
Kia Pursish Aur Ja’ Bhi Sagey Be-Hunar Ki Hai.

Baab E At’a To Ye Hai Jo Bahka Idhar Udhar
Kaisi Kharaabi Uss Nagharey Dar-Ba-Dar Ki Hai.

Aabad Ek Dar Hai Tera Aur Tere Siwa
Jo Baargah Dekhiye Ghairat Khandar ki Hai.

Lub Wa Hai Aankhey Bandh Hai Phayli Hai Jholiya
Kitne Maaze Ki Bheek Tere Paak Dar Ki Hai.

Ghera Andheriyo Ne Duh’ee Hai Chand Ki
Tanha Hu Kaali Raat Hai Manzil Khatar Ki Hai.

Kismat Mei Laakh Pech Ho Sau Bal Hazaar Kaj
Ye Saari Ghutthi Ik Teri Seedhi Nazar Ki Hai.

Aisi Bandhi Naseeb Khule Mushkiley Khuli
Dono Jaha Mei Dhoom Tumhari Kamar Ki Hai.

Jannat Na Dey Na Dey Teri Ruyat Ho Khair Se
Is Ghul Ke Aagey Kisko Hawas Bargho Bar Ki Hai.

Sharbat Na Dey Na Dey To Karey Baat Lutf Se
Ye Shahad Ho To Phir Kise Parwa Shakar Ki Hai.

Mai khana-Zaad Kohna Hu Surat Likhi Huwi 
Bando Kaneezo Mei Mere Madar Pedar Ki Hai.

Mangta Ka Haath Uth-te Hi Daata Ki Dayn Thi
Doori Qubool O Arz Mei Bas Haath Bhar Ki Hai.

Sanki Wo Dekh Baad’e Shafat Ki De Hawa
Ye Aabru Raza Tere Damaan e Tar ki Hai

8 thoughts on “Bheeni Suhani Sub’h Mei Thandak Jigar Ki Hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *