Soona Jungle Raat Andheri Chaayi Badli Kaali Hai

Soona Jungle Raat Andheri Chaayi Badli Kaali Hai
Sone Wale Jaagte Rahiyo Choron ki Rakhwali Hai


Ankh Se Kajal Saaf Chura Lain Yan Woh Chor Bala Ke Hai
Teri Takri Takee Hai Aur Tu Ne Neend Nikali Hai


Yeh Jo Tujh ko Bulata Hai Yeh Thag Hai Maar Hi Rakhe Ga
Hye Musafir Dam Main na Ana Mat Kaisi Matwali hai


Sona Paas hai Soona Ban Hai Sona Zehar Hai Uth Pyaare
Tu Kehta Hai Meethi Neend Hai Teri Mat hi Nirali Hai


Ankhne Mal na Jhunjna Par Na Lakh Jamahi Angrayi
Array Nam Pe Uthne ke Larta Hai Uthna Bhi kuch Gaali Hai


Jugnoo Chamke Patta Kharke Mujh Tanha Ka Dil Dharke
Dar Samjhaye Koi Pavan Hai Ya Agiya be Taali Hai


Badal Garge Bijli Tarke Dhak se Kaleja Ho Jaaye
Ban Main Ghata Ki Bhayanak Soorat Kaisi Kaali Kaali Hai


Paaon Utha Aur Thaukar Khaayi Kuch Sambhla Phir Aondhe Mon
Neend ne Phislan Kar Di Hai Aur Dhortak Khaayi Naali Hai


Saathi Saathi Keh ke Pukaron Saathi Ho Tu Jawab Aaye
Phir Jhunjla Kar Sir De Patko Chal Re Mola Wali Hai


Tum To Chand Arab ke ho Pyare Tum To Ajam Ke Sooraj Ho
Dekho Mujh Bekas Par Sab ne Kaisi Afat Daali Hai


Shehed Dikhaye Zehar Pilaye Kaatil Daen Shohar Kush
Iss Murdar Pe Kiya Lalchaya Dunya Dekhi Bhaali Hai


Woh tu Nihayat Sasta Soda Baich Rahe Hain Jannat Ka
Hum Muflis Kiya Moal Chukayen Apna Haath Hi Khaali Hai


Mola Tere Afw-o-Karam Ho Mere Gawah Safayi Ke
Warna Raza se Chor pe Teri Digree Tu Iqbali Hai

22 thoughts on “Soona Jungle Raat Andheri Chaayi Badli Kaali Hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *