Main lab kusha nahi hoon aur mehwe ilteja hu

Main lab kusha nahi hoon aur mehwe ilteja hu
main mehfil e haram ke aadaab jaanta hu

Koi to aankh waala guzrega is taraf se
Taibah ke raaste me main muntazir khada hu

Ye roshni si kya hai, khushboo kahan se aayi
shayad main chalte chalte ROUZE tak aa gaya hu

Taibah ke sab bhikari pehchante hai mujhko
mujhko khabar nahi thi main is kadar bada hu

Doori o haazri mein ek baat mushtarak hai
kuch khwaab dekhta tha kuch khwaab dekhta hu

Iqbaal mujhko ab bhi mehsus ho raha hai
ke ROUZE ke saamne hu aur naat padh raha hu

14 thoughts on “Main lab kusha nahi hoon aur mehwe ilteja hu

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *