Noor Se Apne Sarwar E Aalam

Noor Se Apne Sarwar E Aalam Duniya Jagmagane Aaye
Ghum Ke Maaro Dukhyaro Ko Seene Se Lagane Aaye

Noore Nigare Ambiya, Mere Huzoor Aa Gaye
Shano Nishaan E Kibriya Mere Huzoor Aa Gaye



Nikhra Hua Hai Rue Gul Faili Hui Hai Bue Gul
Banke Bahaar E Jaa(n) Fiza Mere Huzoor Aa Gaye


Arsh E Baree Ki Rounake Farsh E Zamee Par Aa Gayi
Sajde Ko Jhuk Gaya Aasmaa(n) Mere Huzoor Aa Gaye


Ashqo Se Bhar Ke Jholiya Aankhe Bicha Do Raah Me
Salle Alaa Ki Do Sadaa Mere Huzoor Aa Gaye


Chatki Hui Hai Chaandni Faili Hui Hai Roshni
Dariya Rawa(n) Hai Noor Ka Mere Huzoor Aa Gaye


Mehfil Ko Ab Sawaar Lo Dil Ka Chaman Nikhar Lo
Kardo Charaga Jaa-Baja Mere Huzoor Aa Gaye


Sayim Kalaam E Zouk Se Kalbo Nazar Ko Shauk Se
Raho(n) Me Aaj Do Bicha Mere Huzoor Aa Gaye

12 thoughts on “Noor Se Apne Sarwar E Aalam

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *