Mein Nazar Karoon Jaan o Jigar

Mein Nazar Karoon Jaan o Jigar Kaisa Lagay Ga
Rakhdoon Dar-e-Sarkar Pay Sar Kaysa Lagay Ga
Aa Jaye Muqaddar Se Mere Ghar Jo Shah-e-Dee(n)
Mein Kaysa Lagoon Ga Mera Ghar Kaysa Lagay Ga


Jab Door Say Hain Itna Haseen Gumbad-e-Khizra
Iss Paar Say Aisa hai Udher Kaysa Lagay Ga

Sarkaar Ne Darr Pe Tujhe Bulwaya Hain Mangte
Jab Koyi Mujhe Dega Khabar Kaisa Lagay Ga

Jis Haath Se Likhunga Muhammad Ka Qaseedah
Us Haath Me Jibreel Ka Par Kaisa Lagay Ga

Ghous Ul Wara Say Pooch Lo Aik Roz Ye Chal Kar
Baghdad Say Taiba Ka Safar Kaysa Lagay Ga

Rakh Lunga Imame Pe Jo Nalain E Muqaddas
Shaho Ke Muqabil Mera Sar Kaisa Lagega

3 thoughts on “Mein Nazar Karoon Jaan o Jigar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *