Faslon ko takalluf hai hum se agar

Faslon Ko Takalluf Hai Hum Se Agar
Hum Bhi Bebas Nahin Be-sahara Nahi
Khud Unhi Ko Pukarengey Hum Duur Se
Raaste Mein Agar Paon Thak Jayengay
 
Hum Madine Mein Tanha Nikal Jayengey
Aur Galiyon Mein Kas Dan Bhatak Jayengey
Hum Wahan Jakey Wapas Nahin Ayengay
Dhoondhte Dhoondhte Loog Thak Jayengey
 
Jaise Hi Sabz Gumbad Nazar Ayega
Bandagi Ka Kareena Badal Jayega
Sar Jhukane Ki Fursat Milegi Kisey
Khud Hi Palkon Se Sajdey Tapak Jayengey
 
Naam E Aaqa Jahan Bhi Liya Jayega
Zikr Unka Jahan Bhi Kiya Jayega
Noor Hi Noor Seeno Mein Bhar Jayega
Sari Mehfil Mein Jalwe Lapak Jayegey
 
Aie Madinay Kay Za-ir Khuda Ke Liye
Dastaan E Safar Mujko Yoon Mat Suna
Baat Barh Jayegi Dil Tarap Jayega
Meray Mohtat Ansoo Chalak Jayegay
 
Unki Chashme Karam Ko Hai Iski Khabar
Kis Musafir Ko Hai Kitna Shaukey Safar
Humko Iqbal Jab Bhi Ijazat Mili
Hum Bhi Aaqa Kay Darbar Tak Jayegeney

3 thoughts on “Faslon ko takalluf hai hum se agar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *